Skip to main content

Amar e Wilayat ko Faqat Qabool Kar Lana Kaafi nahi In Urdu,Roman,English Imam Jaffar Sadiq a.s farman


Amar e Wilayat ko Faqat Qabool Kar Lana Kaafi nahi In Urdu,Roman,English Imam Jaffar Sadiq a.s farman

Amar-e-Wilayat ko faqat qabool kar lena kaafi nahi hai;

Imam Jaffar Sadiq a.s ne farmaya!

Ae mudrik!

Hamaray Amar Wilayat ko faqat Qabool kar lena kaafi nahi hai
Balkay is ki hifazat karna aur un ke ghair Ahal se mehfooz aur posheeda rakhna bhi zaroori hai
Hamaray doston ko hamari taraf se salam aur Rehmatullah Wa Barakatuho kehna hai
Aur hamari taraf se un ko kehna ke Allah rehmat nazil kere is shakhs par
Jo logon ki Muwadat o mohabbat ko hamari taraf kheinchain
Aur un ko hamara dost banaye aur aisi cheeze hamari un ke liye bayan kere
Jin ke zariye logon ko hamari Maarfat haasil ho
Aur aisi cheeze tark kar day jis ki wajah se woh hamaray munkir ban jayen
(Yani apne kirdaar ke zariye logon ko hamara Muhib banaye nah ke hamara dushman).

 (بشارت المصطفیٰ صفحہ52)



Comments

Popular posts from this blog

Roz e Qayamat Ka Din Ka Hisab Kitab in Urdu,Roman,English Farman Imam Jaffar Sadiq a.s

Download Link Imam Jaffar Sadiq a.s Ne farmaya! Roz-e-Qayamat jab tamam logon ka hisaab o kitaab chal raha ho ga, Imam Hussain a.s ka Zair dosroe logon se chalees saal pehlay jannat mein daakhil ho ga . (کامل الزیارات ص 262) Imam Jafar Sadiq (AS) said! On the Day of Resurrection, when all the people will be counted, the pilgrim of Imam Hussain (AS) will enter Paradise forty years before the two hundred and one hundred people. (Kamal al-Ziyarat p. 262)

Hazrat Mola Ali Sher e Khuda a.s Ka Mukhtasir Taruf In Urdu,Roman Tehreer By Allama Abdullah Ali Naqvi Al-Bukhari (Sialkot)

Download Link Hazrat Mala Ali Slwat Allah Alaihi Ka Mukhtasir Taaruf Naam: Ali(Slwat Allah Alaihi) Mashhoor Laqab: Haider Karaar Kuniat: Abu-l-Husan,Abu Turab Walid: Abu Talib a.s Walida: Hazrat Fatima Bint Asad Tadaad Aulaad: 18Pisran,12Dkhtran Tareekh Zahuur: 13 Rajab 30 Hijri Aam Al-Fel Yom Jummay Jaye Zahur: Darmiyan Khanah Kaaba Tareekh Shahadat: 21 Ramadaan Al Mubarak 40 Hijri Muddat Hayaat: 63 Saal Badshah Waqt Boqt Zahuur: Shehryar Badshah Waqt Boqt Shahadat: Muawiya Sabab Shahadat: Zrbِ Abdul Al-Rehman Ibn-E Mljm Saazish Ameer Shaam (Muawiya) Bmqam Masjid Koofa Jaye Dafan: Najaf Ashraf (Iraq) Tehreer: Allama Syed Abdullah Ali Naqvi Al-Bukhari(Sialkot)

Momin Is Waqt Tak Momin Nahi Imam Jaffar Sadiq A.S Na Farmaya In Urud,Roman,English

Download Link Momin Is Waqt Tak Momin Nahi Imam Jaffar Sadiq A.S Na Farmaya In Urud,Roman,English Momin Is Waqt Tak Momin Nahi Jab Tak Ke Woh Apne Dosray Deeni Bhaiyon Ko Apne Jism Ki Terhan Nah Samjhay,  Jab Koi Jism Ki Kisi Ragg Ko Takleef Punchati Hai To Doosri Ragein Is Se Hamdardi Karti Hain .